Kuchh Rishton ke dhaage they
Kuchh ishq ka tha junoon
Vaade to humne kiye kaee zindagee se
Par vaada khilaafee ne diya sukoon.
Raasto ka kaha Dar tha mujhe
Main to tha tera haath thaake
Seher ki narm Dhoop bhi tu thee
Aur tu hi to thee meri dhabi shaame
Thehraav thi tu dopahar ki
Aur Kahin main guzarta tha waqt banke
Saanson ke Tere jaake aar paar
Bithata tha tujhe main taqt banke
Bas kamzor meri boli thi
Jo de na paaee jazbaato ko zabaan
Shayad tabhi main chal pad
Mitake mere saare nishaan
Kuchh ishq ka tha junoon
Vaade to humne kiye kaee zindagee se
Par vaada khilaafee ne diya sukoon.
Raasto ka kaha Dar tha mujhe
Main to tha tera haath thaake
Seher ki narm Dhoop bhi tu thee
Aur tu hi to thee meri dhabi shaame
Thehraav thi tu dopahar ki
Aur Kahin main guzarta tha waqt banke
Saanson ke Tere jaake aar paar
Bithata tha tujhe main taqt banke
Bas kamzor meri boli thi
Jo de na paaee jazbaato ko zabaan
Shayad tabhi main chal pad
Mitake mere saare nishaan
No comments:
Post a Comment